People who are crazy enough to think they can change the world are the ones who do. -Apple
Your subscription could not be saved. Please try again.
Your subscription to raagabox has been successful.

A sample of other songs in raagabox lyrics * 3 *

Bhagawan Teri Duniya Mein Insaan Nahi Hai
Singer: Asha Bhosle
Lyricist: Shakeel Badayuni
Tag: Hindi
Video:
bhagwan bhagwan
bhagwan teri duniya mein
bhagwan teri duniya mein insan nahin hai
insan nahin hai
masjid bhi hai mandir bhi hai iman nahin hai
iman nahin hai
bhagwan teri duniya mein
bhagwan teri duniya mein insan nahin hai
insan nahin hai
masjid bhi hai mandir bhi hai iman nahin hai
iman nahin hai

apas mein yahan phoot hai dil sabke juda hain
daulat jinhe mil jaye wahi log khuda hain
itna bhi nahin sochte ham kaun hain kya hain
insan ko
insan ko insan ki pahchan nahin hai
bhagwan teri duniya mein
bhagwan teri duniya mein insan nahin hai
insan nahin hai
masjid bhi hai mandir bhi hai iman nahin hain
iman nahin hain

tu chahe to har mauj ko toofan bana de
sacha hai to bigde huye iman bana de
in khaq ke in khaq ke
in khaq ke putlon ko phir insan bana de
warna main samjhungi tu bhagwan nahin hai
bhagwan teri duniya mein
bhagwan teri duniya mein insan nahin hai
insan nahin hai
masjid bhi hai mandir bhi hai iman nahin hai
iman nahin hai
Duniya Jawan Hai
Lyricist: Shakeel Badayuni
Tag: Hindi
Video:
dunia jawan hai dil meharban hai
aise me sanam mil jaaye sanam meri kasam
rim jhim bahar ka hai pyar ka mausam
jab ye saman hai dil kyu viran hai
jine ke dil balam hote hai kam aao na hum
rim jhim bahar ka hai pyar ka mausam

dunia shamshan hai paisa bhagwan hai
tangi me har kadam milta hai gum ghutta hai dam
paisa ho paas to na rog hai na gum

b.a ki degree khoti tan pe nahi hai langoti
kapda hai or na hai roti kapda hai or na hai roti
degree ko khalo bhaiya polish karwa lo bhaiya
jute chamkalo bhaiya
unchi dukan hai fika pakwan hai
dunia me aake hum jhele sitam hare na dam
paisa ho pass to na rog hai na gum

ye jag hai gum ki basti hai isme baka masti
jiwan se maut sasti jiwan se maut sasti
kaale bazar wale tode hazar tale fir bhi hai bhole bhale
surat insan hai dil me saitan hai
paise ke hai karam kaisi sharam kaisa dharam
paisa ho pass to na rog hai na gum
dunia shamshan hai paisa bhagwan hai
tangi me har kadam milta hai gum ghutta hai dam
paisa ho psas to na rog hai na gum
La De Mohe Balma
Lyricist: Shakeel Badayuni
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Rail-Ka-Dibba/La-De-Mohe-Balma-Aasmani/JSs8ejFaRVs
Video:
la de mohe baalma aasmani chudiya
ji aasmani chudiya, o
dil ko mere bhaye na ye purani chudiya
ji ye purani chudiya
la de mohe baalma aasmani chudiya, o
dil ko mere bhaye na ye purani chudiya
ji ye purani chudiya

aji bharke najar dekh lo idhar chudiyo ki tum karo na fikar
bhul na jana dil ko lekar ghayal man hai, zakhmi jigar
jab se ladi tum se najar hum hai udhar tum ho jidhar
aao ji kar le mil ke guzar duniya ko ho na magar
tere mere dil ki khabar
tere liye launga man lubhani chudiya
ji man lubhani chudiya
la de mohe baalma aasmani chudiya, o
dil ko mere bhaye na ye purani chudiya
ji ye purani chudiya

bhole piya mera jiya tum ne liya hai
bhole piya mera jiya tum ne liya hai
aji tum ne hume, hum ne tumhe pyar kiya hai
aji tum ne hume, hum ne tumhe pyar kiya hai
tumhe chhod ke balam jayenge na hum
khaye huye hai pyar ki kasam
royega na dil khayenge na gam, koi na hoga dil pe sitam
tum hi piya, tum hi sanam, rakhna meri laaj sharam
tere hi dum se hai mera dum laagi ho dekho na kam
sath milke chham chhama chham
de de mujhe pyar ki tu nishani chudiya
ji tu nishani chudiya

la de mohe baalma aasmani chudiya
ji aasmani chudiya, o
dil ko mere bhaye na ye purani chudiya
ji ye purani chudiya
aaha
tere liye launga man lubhani chudiya
ji man lubhani chudiya